Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Love Poems

1.
There is darkness everywhere I go,
Despite the sun shining bright,
Everything seems cheerless,
Despite the colorful flowers every single sight,
I have almost everything,
Yet I have nothing to live by,
Love, this is how I feel,
When U r not by my side.

 2.
Kuchh pal saath chale to jaanaa,
Rastaa hai jaanaa pehchanaa .
Saanso ko sur de jaataa hai,

Tera yo.n sapano me aanaa.
Maine jatan kiye to lakho,
Mann ne meet tumhi ko maanaa.

Ab to haath thhaam lene do,
Aur kaho na , na na , na na !

3.
Love bears all things,
Love believes all things,
Love hopes all things,
And most precious of all,
Love endures all things,
Come we love and make things happy.
 
4.
If I’m in hell & Ur in heaven,
I’ll look up & be glad of U.
If I’m in heaven & Ur in hell,
I’ll pray to god to send me down,
Coz the heaven is not heaven without U.
 
5.
Apne bistar mein buhat der se mein neem-daraz
Sochti thi ke woh iss waqt kaha par hoga
Mein yahan hoon magar uss kocha-e-rango-bo mein
Roz ki tarah woh aaj bhi aaya hoga
Aur jab ussne waha mujh ko na paya hoga
App ko ilm hai woh aaj nahi aayi hain
Meri har dost se ussne yehi pocha hoga
Kyon nahi aayi woh-kya baat hui hai akhir
Khud se iss baat pe so bar woh uljha hoga
Kal woh aaye gi toh main uss se nahi bolonga
App hi app kai bar woh rotha hoga
Woh nahi hai toh bulandi ka safar kitna kathin
Serrian charhate hue uss ne yeh socha hoga
Rahdari mein, hare lawn mein, pholon ke kareeb
Uss ne har simt mujhe an ke dhonda hoga
Naam bhole se jo mera kahin aaya hoga
Ger-mahsoos tareeqe se woh chonka hoga
Eik hi gumle ko kai bar sunaya hoga
Baat karte hue so bar woh bhola hoga
Yeh jo larki nai ayii hai kahin woh toh nahi
Us ne ar chahra yehi soch k dekha hoga
Jan-e-mehfil hai ,magar aj,faqad mere bagair
Haye!Kis darja wohi bazm mein tanha hoga
Kabhi sanataon se wehshat jo hwi ho gi use
Us ne be-saktha phir mujh ko pukara hoga
Chalte -chalte koi manoos se ahat pa kar
Doston ko bhi kisi uzr se ruka hoga
Yaad kar ke mujhe naam ho gayi hogi palken
Aankh mein kuch par gaya keh ke yeh tala hoga
Aur ghabra ke kitabon mein jo li ho gi panah
Har satar mein mera chehra ubhar aaya hoga
Jab mili ko use meru alalat ki khabar
Us ne ahista se dewaar ko thama hoga
Soch kar yeh ke behal jaye pareshan-e-dil
Yuhin bewaja kisi shaks ko roka hoga
Itafaqan mujhe uss shaam meri dost mili

6.
Puchte ho toh suno kaise basar hoti hai
Rat khairat k sadqe ki sahar hoti hai
Sans bharne ko toh jina nahi kehte ya rab
Dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai
Jaise jagi hui ankhon main chubhen kanch ke khwab
Raat is tarah diwanon ki basar hoti hai
Gam hi dushman hai mera gam hi ko dil dhundta hai
Ek lamhe ki judai bhi agar hoti hai
Ek markaz ki talash ek bhatakti khushbu
Kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai


7.
Chahti hu tumhe,
Tumse kahu yeh jaruri toh nahi,
Dil dhadakta hai tumhare liye,
Tumse kahu yeh jaruri toh nahi!
Meri aankho mein tere hi khwab
Raat-din samaye rahte hai,
Mohabbat hai tumse dil-o-jaan se,
Tumse kahu yeh jaruri toh nahi!
Kuch raaj-e-dil hum bhi rakhte hain,
Itna toh haq hai,
Har baat ka ikraar tumse karu,
Ye jaruri to nahi!
Chahna tumhe hamara andaz hai,
Marna teri mohabbat mein kabul hai,
Tu bhi hume chahe qayamat ki raat tak,
Yeh jaruri toh nahi!
Mere aansu hi meri tadap hai,
Ise bahau ya chhupau,
Teri palke bhi bheege hume yaad karke,
Ye jaruri to nahi.
Chahti hu tumhe, tumse kahu ye jaruri to nahi!

8.
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujh ko
Apni nazron mein basa kar na girana mujh ko
Tum ko aankho mein tasawoor ki tarah rakhta hoon
Dil mein dharkan ki tarah tum bhi basana mujh ko
Baat karnae mein jo mushkil ho tumhein mehfil mein
Mai samajh jaonga nazron se batana mujh ko
Wada utna hi karo jitna nibha sakte ho
Khawab pura jo na ho woh na dikhana mujh ko
Apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena
Main toh aashiq hoon deewana na banana mujh ko
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujh ko
Apni nazron mein basa kar na girana mujh ko

9.
Badnaseeb bhi nahi par mera naseeb bhi nahi,
Mana ke main ameer nahi par gareeb bhi nahi,
Dil ki gehraiyon mein chhipaya hai jise,
Woh door bhi nahi mujhse par kareeb bhi nahi,
Chahta toh hoon dena usko khushiyan saare jahan ki,
Par mil jayein unke gham itna khushnaseeb bhi nahi.

10.

Kya tum bhi meri terha chalti hawaon ko
Choney ki koshish kartey ho
In fizaon mein jesey main
Tumhari mehak mehsos karti hoon
Weseyhi mujhko kya tum bhi
Apney gird youn patey ho
Kya tum bhi shabb ki tanhai mein
Meri tarah jagte rehtey ho
Aur jesey main tumhari yaad ke diye se
Roshni bakhairti rehti hoon
Ussi terah kya tum bhi
Apney andheron ko roshan kartey ho
Kya tum bhi chatt pe ja ke
Aftab ko pehroon taktey ho
Yeh sochtey ho kya meri terha
Ke aaj tumharey haan bhi chand nikla hoga
Chand kya tumhey bhi kya
Kuch kuch mujhsa dikhta hai
Jesey tum mujhko falak ka
Woh pyara chanda lagtey ho
Kya tumhari aankhein bhi ekdam
Kisi ek khayal se chamak uthti hain
Aur tum bhi akeley kharey muskatey ho
Kehti hain sabhi sahelian meri mujhe
Meri yeh aankhain tak ke
Main soi nahi kuch raaton se
Tumhare dost bhi kya tumko
Aisa hi kuch kehtey hain
Kya tumhara dil bhi har pal
Bechain tarapta rehta hai
Tum bhi kya agli molaqat tak
Har pal gharian gintey rehtey ho
Sabbar tumse bhi kya nahi hota
Inteezar meri terah kya tumko bhi
Mushkil aur kathin sa lagta hai
Kya tanha rah mein chalte chalte
Tumhare kadam bhi rokte hain
Tum bhi kya yeh sochte ho
Ke meri aur tumhari rahain
Kabh honge ek
Jabh tum hoge humsafar mere
Aur haathon mein hardam honge haath
Raston per chalte aise khayal
Aate hai kya tumko bhi
Kya tum bhi behayalli mein
Naam mera dohratey ho
Kya tumhara mann bhi mujhko
Pukarta hai bolata hai
Jesey mera mann tumhe sadain daita hey
Kagaz pe kya tum bhi meri terah
Apna aur mera naam likhte rehte ho
Kya tum bhi apne hathon mein mujhe
Dhondte ho talash karte ho
Muqaddar apna meri terah kya tum bhi
Sirf mujhko hi mante ho
Apni aankhon mein kya tum bhi
Meri hi tasveer bas paate ho
Har shaks jese mujhko tumsa dikhta hai
Tumhe bhi kya in logon mein
Main hi main sirf dikhti hoon
Kya tum meri aawaz soon kar ghabratey ho
Jesey main tumhe soon kar sharmati hoon
Tumhari ek ek aahat par
Dil taiz taiz dharakta hai
Kya mujhko aata dekh kar
Tumhari sansain bhi barti hain
Kya tumhey bhi koi aur nahi bhata
Mera hi kheayal tumhe kya sirf aata hai
In phoolon mein en kalliyon mein
In rangbarange haseen nazaron mein
Jese mujhe tumhari jhalak dikhti hai
Mujhe un main kya tum bhi patey ho
Kya tum bhi younhi bethe bethe
Khwabon ki duniya mein kho jate ho
Khuli aankhon se mein tu aey dost
Tumhare sapne dekhti hoon
Tum bhi kya meri duniya
Basate aur sawarte ho
Kya tum bhi aisi shairana baatein karte ho
Kya tumhe bhi pyaar mohabbat ke afsane
Sabh sache ache lagte hai
Kya tumhey meri yeh sabh baatein
Karna achi lagti hai
Kya tumhey mera pyaar sacha lagta hai
Kya tum doge jawab mere sawalon ka
Kya tum mujhe sabh sach sach batlaoge
Kya tumhe tumhari aafi
Kuch deewani pagal lagti hai

11.
Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya,
Lehje Se Uth Raha Tha, Har ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya,
Awaz Mein Thihrao Tha, Aankhoon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya,
Jane Kiya Us Ko, Logon Se Thi Shikayatein
Tanhaiyon Ke Dais Mein Khud Ko Basa Diya,
Khud Bhi Woh Hum Se Bichar Kar, Adhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi itne Logon Mein Tanha Bana Diya,
Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya.

12.
Choti si galat fehmi kar degi juda hum ko
Halaat itne badal jayenge, maloom na tha hum ko,
Kya bas yeh rishta itna kamzor tha humara ?
Jise chaha pal bhar mein tod diya is ko
Jo ek lamhe ke liye bhi door na hote thai
Aaj le jana pada unhein judai ke ghum ko
Kabhi apne hi raste per bichaye thai hum ne phool
Aaj kaantey bichaye khud hi jaga dee pathar ko
Ab to ek dard aur takleef rehti hai is dil mein
koi to aaye, marham lagaye is zakhm ko.

13.
In faaslon ki fikar mein kyun karun bhalaaa?
Boht door reh k bhi mere paas hai koi,
Is soch me dooba hai,bohat dair se mera Dil,
Kiya us’k Dil me bhi aisa ehsaas hai koi,
Uski nazron se hai bana meri sanson ka tasalsul,
Is tarah meri zindagi ki aas hai koi,
Uska jo poocha hai to bs itna jaan lo,
Bohat khas, bohat khas, bohat khas hai koi,
Mohsin jo ja rahy ho to ye b us se kehna,
Us k bina is shehar me boht udaas hai koi.

14.
Hum Unhi per sab se zyada Aitbar kartey hain,
Jo sab k samne Saadgi ikhtiyar kartey hain,
Itna kya Intizaar k bus Thak gaya hoon,
Yeh kese Log hai jo Be-Qarar kartey hain,
Chahtey hain jo Had se Zyada kisi ko,
Wohi to sab se zyada Takrar kartey hain,
Rakha Qadam Bazaar mai, to Ghabra gaya Mai,
Kya itne Log Ishq ka Biopaar kartey hain,
Karo na Fikar 'Zaheer' agar wo Naraz ho gaya,
Naraz hotey hain wohi jo Pyar kartey hain.

15.
Kyon Khilwat-E-Ghum Mein Rehte Ho, Kyon Gosha Nasheen Bekaar Hue,
Aakhir Tumhe Sadma Kya Pahuchna, Kya Soch Ke Khud Azaar Hue,
Kyon Saaf Kushadaa Raaston Par Tum Thokarein Khate Phirte Ho,
Kyon Teer-O-Taar Si Galiyon Mein Tum Aan Ke Khush-Raftar Hue,
Kyon Rasta Chhod Ke Chalte Ho, Kyon Logon Se Katrate Ho,
Kyon Chalte Phirte Apne Liye, Tum Aap Hi Ek Deewar Hue,
Kya Uthte Baithte Sochte Ho, Kya Likhte Padhte Rehte Ho,
Is Umr Mein Ye Be-Kaifi Kyon, Kis Waste Nek Atwaar Hue,
Kyon Aise Safar Pe Nikle Ho Manzil Nahi Jiski Koi Bhi,
Kyon Raah Pe Aisi Chalte Ho, Saya Bhi Jahan Deewar Hue,
Kyon TarQ-E-AlaiQ Ko Tumne Samjha Hai Ilaaj-E-Gam Aakhir,
Dekho To Wali Sofi Bhi Yahan Kis Thaath Ke Duniya-Daar Hue,
Mayoosi-E-Paihum Se Tumne Yarana Ye Kaisa Ghantha Hai,
Undoh Alam The Jitne Bhi, Aakhir Wo Gale Ka Haar Hue,
Is Kalba-E-Ehzaan Se Hargiz, Ubhrega Na Suraj Koi Bhi,
Kab Khaak Sitara Baar Hui, Kab Saaya Sahr Asaar Hue,
Kab Subah Ke Nale Kaam Aaye, Kya Garyaa-E-Neem Sabhi Se Mila,
Is Qarya-E-Khwaab-E-Faroshaan Mein Tum Kiske Liye Bedaar Hue,
Bekaar Ulajhte Rehte Ho Kyon Ulti Sidhi Baaton Mein,
Ye Marhale Wasl-O-Hijraan Ke Ab Aise Bhi Kyon Dushwaar Hue,
Us Kuche Ki Raah To Samjhao, Jis Kooche Mein Jaan Mushkil Hai,
Us Shakhs Ka Naam To Batlao, Tum Jiske Liye Bimaar Hue,
MashfaQ Ne Ye Baatein Sunke Kaha, Baatein Na Hui Ashaar Hue,
Ye Dard Batane wale Bhi Kis Shaan Ke Khush Guftaar Hue,
Sad Shukar Ke Khush Usloobi Se Takmeel Ko Pahuchi Ruswayi,

16.
Hothon pe muskaan khil jati hai meri,
Uski ek sharaarat se.
Aankhein chamak jati hain meri,
Uski ek aahat se.
Uski ek jhalak pate hi,
Mera ang ang sajeev ho jaata hai.
Mera udaas man bhi,
Uske sparshmatr se praffukit ho jata hai.
Pataa nahi usme kyaa,
Visheshtaa chhipee hai.
Wo mere is andhkaarmay jeevan mein prajalit huee,
Ek jagmagaatee roshnee hai.
Uski aankhein hameshaa bolti hain,
Uski baatein mujhe toltee hain.
Uski mand mand muskuraahat,
Uske dil me chhipe raaj kholtee hain.
Khush hai wo mere hothon ki muskurahat se.
Main bhi uski ek muskurahat ke liye taras jati hoon.
Ishwar kare ki hamara ye rishta itna majboot ho jaaye ki,
Ham dono har khushee ka swaagat muskuraahat ke saath karein.

17.
Tanhaiyon se ghir gayee hoon main.
Wo jo kabhi hasrat bankar jagee thee mere dil mein.
Aaj mere pairon ki jangeer ban gayee hain.
Duniyaa se bilkul alag ho gayee hoon main.
Jab pratham bhent huee unse to.
Mere tan man mein pyaree see anubhooti huee.
Unki aankhon mein dekhne ki himmat nahi thi mujhme,
Par bhi unhe jee bhar ke dekhna chahtee thi.
Wo mand mand muskurate hue mujhse baatein karte.
Aur lagataar dekhte rahte mujhe.
Par main sankochvash unhe koi bhi jawaab nahi de paatee.
Us pal mujhe lagaa aise ki wo mujhe bahut pasand karte hain.
Us din ke baad unse roj hone lagee baatein.
In baaton ko sunkar unke prati lagaav bahut gahraa ho gayaa hai.
Lekin waqt ne sab kuchh ulatkar rakh diya hai.
Ab ghir gayee hoon main ek ajab si udaasee se.
Shaayad wo bhi ghir gaye hon tanhaaiyon se.
Aur bhar gayee ho rom rom mein unke udaasee.
Phir bhi man mein ye aas hai ki,
kabhi dukh ke badal chhantege aur hoga khushhaal savera.

18.
Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye
Kiyon bewajah itni shidat se hum roye
Badhi der tanhai mein baithe rahe
Shayad rone ka sabab yaad aa jaye.
Sawaal kiya,ae dil bata,bina uski yaad aaye
Aaj kiyon ansoo beh gaye?
Dil ki gehrahiyon se ik awaaz aay
Mian yeh ansoo tere nahin
Tere yaar ke hain,tere pyaar ke hain
Jisse na jaane kiyon aaj tum bahaut,bahaut yaad aaye

19.
Kis tarah aur pass aaon main,
Sirf apna tumein banaaon main.
Paas ho kar bhi door hain itne,
Kis nidaa se tumein bulaaon main.
Raat din be qaraar rehta hoon,
Kaash, lamhe ka chain paaon main.
Dhoop hai tez,kahin chaaon nahin,
Abra ko, ab,kahan se laaon main.
Aik lamhe bhoola nahin paata,
Khoob kehto ho,bhool jaaon main.

20.
Bachpan Ka Zamana Hota Tha,
Khushio.N Ka Khazana Hota Tha.
Chahat Chaand Ko Paane Ki,
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha.
Rone Ki Wajha Na Hoti Thi,
Hasne Ka Bahana Hota Tha.
Khaber Na Thai Kuch Subho Ki,
Na Shamo Ka Thikana Hota Tha.
Daadi Ki Kahani Hoti Thi,
Pariuon Ka Fasana Hota Tha.
Pedho Ki Shakhe Chutey They,
Mitti Ka Khilona Hota Tha.
Gam Ki Zuban Na Hoti Thi,
Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha.
Barish Mein Kagaz Ki Kashti,
Har Mousam Suhana Hota Tha.
Wo Khel Wo Sathi Hotey They,
Na Rishta koi Nibhana Hota Tha.


21.
Tum Me aur Meri Tammana Me Ek Hi Fark Tha
Tum kabhi Meri Na Ho Saki aur Me kabhi tammana ka na ho saka
aisha pather sa ho gaya me na jee Bhar Ke hash saka na ro saka
tum me he thi koi baat ae yaar
tum kitno ke ho gaye me kisi ka na ho saka
tumne pero liye sab khushiya daman me
aur ek me ke gum bhi dhaage me na piro saka

22.
Zindagi hai chhoti ,har pal mein khush hu,
Office me khush hu, ghar mein khush hu,
Aaj paneer nahi hai, daal mein hi khush hu,
Aaj gym jane ka waqt nahi, do kadam chal ke he khush hu,
Aaj Dosto ka sath nahi, TV dekh ke hi khush hu,
Ghar ja nahi sakte to phone kar ke hi khush hu,
Aaj koi naraaz hai, uske iss andaz mein bhi khush hu,
Jise dekh nahi sakte uski awaz mein hi khush hu,
Jise paa nahi sakte uski yaad mein he khush hu,
Engineering karne ka socha tha, B.sc mein he khush hu,
Laptop na mila to kya, Desktop mein hi khush hu,
beeta hua kal ja chuka hai, usse meethi yaadein hai,unme hi khush hu,
aane wale pal ka pata nahi, sapno mein hi khush hu,
Haste haste ye pal bitaenge, aaj mein hi khush hu,
Zindagi hai chhoti , har pal main khush hu.

23.
Gharaunde Rait Ke Kabhi Na Banana Yaaro,
Dekh Ke Surkh Kamal, Keechad Me Na Jana Yaaro,
Mohabaat To Ek Khubsurat Dokha Hai,
Bhul Kar K Bhi Ye Dhokha Na Khana Yaaro,
Humne To Galti Ye Ki Unse Mohabaat Karke,
Ye Galti Tum Na Dohrana Yaaro,
Wafa Ka Sila Yoon Bewafayi Se Mila,
Kaisa Jakham meine Khaya Hai Yaroo.

24.
Din Ghoote Ghoote, Shamein Dhuaan Dhuaan Ho Gayi,
Aur Raatein, Intezar Ki Tere Dastan Ho Gayi,
Kahan Se Dhundhkar Layun Sakoon Dil Ka Apne,
Zindagi Jab Dard Ki Ek Dastan Ho Gayi,
Bewafa Bankar Kaise Jee Lete Hain Log Hanskar,
Is Raj Ko Jaan-ne Mein Hi Hasti Fanna Ho Gayi,
Main Kab Tak Bharm Mein Rakhun Khud Ko,
Duniya Kehne Lagi Ki Tu To Bewafa Ho Gayi.
 

25.
Jab Uski Dhun Mein Raha Karte The,
Hum Bhi Chup Chap Jiya Karte The,
Aakhon Mein Pyas Hua Karti Thi,
Dil Mein Tufaan Utha Karte The,
Log Aate The Gajal Sunne,
Hum Uski Baat Kiya Karte The,
Sach Samajhte The Uske Vado Ko,
Raat Din Ghar Me Raha Karte The,
Kisi Viraane Mein Usse Milkar,
Phool Khila Karte The,
Ghar Deewar Sajaane Ki Khaatir,
Hum Naam Unka Likha Karte The,
Kal Usko Dekhkar Yaad Aaya,
Hum Bhi Kabhi Mohabbat Kiya Karte The.


26.
 Aise pyaare mausam mein naapko yaad karta hai ye dil,
kaash aap yahan hote,
baarish ki in boondo ke saath aapko mehsus karta hai ye dil,
kaash aap yahan hote,
Jaane ye mann kya chah raha hai,
bas aapko hi har taraf dhoond raha hai,
aao mere pas aao,
yu na ab mujhe satao,
aapki har khwaish puri karne ka intezaar hai kyunki mujhe aapse bahut pyaar hai,
Is pyaar ko kaise jatau main...mere dil ke haal kaise batau main,
aise pyaare mausam mein aapko yaad karta hai ye dil,
pyaar se pyaar karne ko chahta hai ye dil,
kaash aap yahan hote...

27.
Na jaane kyo who hume itna pyar karte hai,
Hamari har baat par atbar karte hai,
In ankho mein kuch sapne liye,
Humse milne ka intzar karte hai,
Har aahat par lage unhe ki hum aa gaye,
Na jaane kab hum unke dil mein sama gaye,
Dekhte-hi-dekhte mere is dil mein,
Who bhi apni jagah bana gaye,
Ahsas apne pyar ka mujhko dila gaye,
Mohabbat ke is dariya mein mujko duba gaye,
Ye uska or uske pyar ka ahsas hai,
Jo pathar ko bhi moam bana gaya hai,
Is dil ko pyar karna sikha diya hai...........



28.
Is taraha yu wada thod kar na ja,
Mujhe is taraha akela chod kar na ja,
Agar is tarah akela chod kar hi jana tha tho kyo zindgi mein aye,
Agar sath nahi nibhana tha tho kyo sath jine ke sapne dikhaye,
Teri in ankho mein mujhe aaj bhi wafa nazar aa rahi hai,
Phir na jaane kyo tu mujhe chod kar ja rahi hai,
Har lamha thujko meri yaad satayegi,
Mere bin ye zindgi teri kat na payegi,
Ye tu janti hai ya tera rab janta hai,
Ki mere bin tu bhi rahe na payegi,
Mohabbat meri ye ek din aisa rang layegi,
Tu duad kar aa mujhe gale lagayegi.................



29.
Bin tere ye zindhi adhuri thi,
Tere sath na hona meri majburi thi,
Ho kar bhi pass tu dur thi mujhe se,
Jaane ye kaise duri thi,

Aana chati thi pass mere,
Par jane kyo itna darti thi,
Dur se dekh mujhe who ,
Dhire se sajada karti thi,

Mohabbat mein who bhi meri,
pal-pal aahe bharti thi,
Chip-chip kar who mujhese ,
milne ki koshis karti thi...



30.
Kal tak jo ajnabi thi,aaj who mere pass aa gayi,
Ankho ke rashte who mere dil mein sama gayi,
Ankhe hai uski jheel ki tarah gaheri,
Hoto pe uske ek payari se muskan hai,
Sadhgi mein jeena aadat hai uski,
Who koi aur nahi-Who koi aur nahi,
who tho ab meri jaan hai,
Bin kuch bole sab kuch kahe jati hai,
Ye hume pata hai ki who hume kitna chati hai,
Who koi aur nahi-Who koi aur nahi,
Who tho ab meri jaan hai.........



31.

 Once upon a time,
The colors of the world Started to quarrel.
All claimed they were the best,
The most important,
The most useful,
The favorite.

"GREEN" said,
"Clearly I am the most important ...
I am the sign of life and of hope;
I was chosen for grass, trees and leaves,
Without me, all animals would die;
Look over the countryside
And you will see that I am in the majority."

"BLUE" interrupted,
"You only think about the earth,
But consider the sky and the sea ...
It is the water that is the basis of life
And it is drawn up by the clouds from the deep sea;
The sky gives space and peace and serenity,
Without my peace, you would all be nothing."

"YELLOW" chuckled,
"You are all so serious ...
I bring laughter, gaiety, and warmth into the world,
The sun, the moon and the stars are all yellow;
Every time you look at a sunflower,
The whole world starts to smile,
Without me there would be no fun."

"ORANGE" started next to blow her trumpet ...
"I am the color of health and strength,
I may be scarce, but I am precious
For I serve the needs of human life,
I carry the most important vitamins;
Think of carrots, pumpkins, oranges, and mangoes,
I don't hang around all the time,
But when I do, I fill the sky at sunrise or sunset,
My beauty is so striking that no one gives
Another thought to any of you."

"RED" could stand it no longer so he shouted out ...
"I am the ruler of all of you!
I am blood ... life's blood!
I am the color of danger and of bravery,
I am willing to fight for a cause,
I bring fire into the blood;
Without me, the earth would be as empty as the moon,
I am the color of passion and of love,
The red rose, the poinsettia and the poppy."

"PURPLE" rose up to his full height,
He was very tall and spoke with great pomp ...
"I am the color of royalty and power,
Kings, chiefs, and bishops have always chosen me
For I am the sign of authority and wisdom,
People do not question me! They listen and obey."

Finally "INDIGO" spoke,
Much more quietly than all the others,
But with just as much determination ...
"Think of me. I am the color of silence,
You hardly notice me,
But without me you all become superficial;
I represent thought and reflection, twilight and deep water,
You need me for balance and contrast,
For prayer and inner peace."

And so the colors went on boasting,
Each convinced of his or her own superiority.
Their quarreling became louder and louder.
Suddenly there was a startling flash of bright lightning!
Thunder rolled and boomed!
Rain started to pour down relentlessly.
The colors crouched down in fear,
Drawing close to one another for comfort.

In the midst of the clamor, "RAIN" began to speak ...
"You foolish colors, fighting amongst yourselves,
Each trying to dominate the rest;
Don't you know that you were each made
For a special purpose, unique and different?
Join hands with one another and come to me."

Doing as they were told, the colors united and joined hands.
The rain continued,
"From now on, when it rains,
Each of you will stretch across the sky
In a great bow of color as a reminder
That you can all live in peace.
The Rainbow is a sign of hope for tomorrow."